RSS

Dua for Removing Obstacles in Marriage

18 Jan

Dua for Removing Obstacles in Marriage

بسم الله الرحمن الرحيم

Bismillah hirRahman nirRaheem

With The Name of ALLAH, The Beneficent and The Merciful

SallALLAHU ‘Ala Mu’hammad SallALLAHU Alayhe Wasallam

87

 

Insha ALLAH Jin bhi khwateen aur ladko ko nikah ki jo pareshaniyan hai is wazifa se door hongi. Jo bhi agar kisi khas se ya fir apne waledain ki marzi se kisi se nikah karna chahte ho. Dono hi surato mein ye wazifa kargar hai Insha ALLAH. Chahe wo pasand ki shadi ho ye gharwalo ki razamandi se.

Agar apne ‘yaALLAH Nikah Istikhara’ kiya hua hai aur is istikhara ke khwab ki tabeer apke haq mein kisi khas ladke/ladki ke liye aayi hai to ap ye wazifa kar sakte. Aur agar haq mein nahi ayi hai to apko ye wazifa karne ki ijazat nahi. Aur agar apka kisi khas ladke/ladki se nikah ka maqsad nahi hai balki jaha apke waledain karenge ap kar lenge to esi surat mein ap ye  wazifa kar sakte hai, Insha ALLAH apko kamyabi milegi. Shuba kabhi na kijiyega.

Faqat ye wazifa karne se pahle sabse pahle apko kuch khas sharait ka dhyan rakhna hai. Jinke dhyan rakhne insha ALLAH ye wazifa apka powerfully kam karega.  http://www.islamicwazaif.net/ par ese to hazaro powerful wazaif hai aur Alhamdulillah logo ke testimonials bhi mene parhe aur publish b kiye. Pichlo wazaif ko karne ijazat aam ko thi.

Is Wazifa Ko Karne Se Pahle Ki Sharait Aur Ijazat Kese Lena Hai?

  1. Is wazifa ko karne se pahle ap taza wudu banaye:
  2. 11 martaba Durood-e-Pak parhiye;
  3. Uske bad 101 martaba Bismillahil Waasi-‘u Jallaa Jalaaluhoo parhiye;
  4. 11 martaba akhir mein fir se Durood-e-Pak parhiye;
  5. Uske bad teen martaba hatheliyon par dum karke apne chehre par fer lijiye;

Is Wazifa Ko Karne Se Pahle Ke Sadqah Kese Dena Hai?

Upar diya hua amal karne ke bad ap kisi bhi shaks jo bhi zarurat mand ho use 2 rupaye ya iske barabar apke mulk mein jo b currency chalti hai uske hisab se. Ap chahe to isse zyadah bhi de sakte hai.

Shadi Ke Liye Behtreen Wazifa Kese Karna Hai?

  1. Jis bhi din shur karna ho ap kar sakte hai;
  2. Sab kamo se farigh hokar ratko;
  3. Taza wudu bana lijiye;
  4. Sone jane se thik pahle 11 Martaba Durood-e-Pak parhiye;
  5. Surah Ikhlas jo ki upar di hui hai 41 martaba parhiye (sirf arabi mein hi parhna hai);
  6. Akhir mein firse 11 Martaba Durood-e-Pak parhiye;
  7. Aur uske bad sirf shadi ke liye hi dua kare, kisi khas shaks ke liye kar rahe hai to uske liye kijiye unke walida ka nam lekar aur nam nahi malum to ‘Hawwa’ bol sakte hai. Aur agar kisi khas shaks ke liye nahi kar rahe hai to ALLAH Pak se apki qismat mein koi behtar ladke/ladki ke liye dua kijiye;
  8. Is amal ki muddat 90 roz hai bila nagah (khwateen haiz/maahwri ke 7 roz mein nagah kar sakti hai to unke liye ye wazifa 97 roz ka hoga);
  9. Yad rahe is arsa mein mangni ya shadi bhi ho jayeg to bhi apko ye wazifa pura karna hai 90 roz tak;

Shadi K Liye Behtreen Wazifa in Urdu

شادی کے لئے بہترین وظیف کیسے کرنا ہے؟

١. راتکو سونے جانے سے پہلے ١١ مرتبہ درود شریف پڑھیے
٢. سبسے اول تازہ وضو بنا لیجئے 
٢. اسکے بعد ٤١ مرتبہ سوره اخلاص پڑھیے
٣. اسکے بعد فر سے ١١ مرتبہ درود شریف پڑھیے
٤. اسک بعد اپنی شادی کے لئے دوا کیجئے
٥. عیسیٰ روزانہ بلا نگاہ ٩٠ روز تک کرنا ہے
٦. خواتین ہیز/ماہواری کے ٧ روز میں اسے نہیں کرے بلکی پاک ہونے کے بعد کرے

Shadi K Liye Behtreen Wazifa in English

If you are doing this for someone special (a boy or a girl). In this case please perform ‘yaALLAH Nikah Istikhara’, once it comes positive you can go ahead with this wazifa. If you are doing this just to get married with any suitable muslim boy then you can perform this without ‘yaALLAH Nikah Istikhara’.

  1. Whenever you want to start this wazifa you can start;
  2. After freeing yourself from the entire work;
  3. Just before going to bed to sleep;
  4. Make a fresh ablution;
  5. Recite Durood-e-Pak 11 times;
  6. Recite Surah Ikhlas 41 times;
  7. Again recite Durood-e-Pak 11 times;
  8. Make a Dua for your desire of marriage with any special person or for your parent’s choice, that your marriage will take place soon;
  9. Please do this every day till 90 days regularly without skipping any single day;
  10. Females can skip during their 7 days of menses/periods. In this manner they will have to perform this for 97 days;
  11. Please remember that if you get engaged or married within these 90 days even then also you have to finish the entire wazifa for 90 days. In any way you can’t skip this.

Insha ALLAH soon you will get married with the one you love or with your parent’s choice, Ameen.

 

शादी के लिए बेहतरीन वज़ीफ़ा हिंदी में

  1. जिस भी दिन शुरू करना हो आप कर सकते है |
  2. सब कामो से फ़ारिग़ होकर रात को |
  3. ताज़ा वुज़ू बना लीजिये |
  4. सोने जाने से ठीक पहले 11 मर्तबा दुरूद-ए-पाक पढ़िए |
  5. सूरह इख़लास जो की ऊपर दी हुई है 41 मर्तबा पढ़िए (सिर्फ अरबी में ही पढ़ना है) |
  6. आखिर में फिरसे 11 मर्तबा दुरूद-ए-पाक पढ़िए |
  7. और उसके बाद सिर्फ शादी के लिए ही दुआ करे, किसी खास शख्स के लिए कर रहे है तो उसके लिए कीजिये उनके वालिदा का नाम लेकर और नाम नहीं मालूम तो ‘हव्वा’ बोल सकते है | और अगर किसी खास शख्स के लिए नहीं कर रहे है तो अल्लाह पाक से आपकी क़िस्मत में कोई बेहतर लड़के/लड़की के लिए दुआ कीजिए |
  8. इस अमल की मुद्दत 90 रोज़ है बिल नागाह (ख्वातीन हैज़/माह्वृ के 7 रोज़ में नागाह कर सकती है तो उनके लिए ये वज़ीफ़ा 97 रोज़ का होगा) |
  9. याद रहे इस अरसा में मांगनी या शादी भी हो जाएगी तो भी आपको ये वज़ीफ़ा पूरा करना है 90 रोज़ तक |
 
Leave a comment

Posted by on January 18, 2016 in dua

 

Tags:

Leave a comment